See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



kafan

*u988* jho;Np;Re ke darvaaze par baap aur be;Taa dono;N ek bujhe hu))e alaa))o ke saamne ;xaamosh bai;The hu))e the _ aur andar be;Te kii naujavaan biivii budhiyaa dard-e zah se pachhaa;Re;N khaa rahii thii _ aur rah rah kar us ke mu;Nh se aisii dil-;xaraash .sadaa nikaltii thii kih dono;N kalejah thaam lete the _ jaa;Ro;N kii raat thii , fa.zaa sannaa;Te me;N ;Garq _ saaraa gaa))o;N taariikii me;N ja;zb ho gayaa thaa _

ghiisuu ne kahaa , " ma((luum hotaa hai bachegii nahii;N _ saaraa din ta;Rapte ho gayaa _ jaa))o , dekh to aa _"

maadhav dardnaak la;haje me;N bolaa , " marnaa hii hai to jaldii mar kyuu;N nahii;N jaatii _ dekh kar kyaa karuu;N _"

" tuu ba;Raa bedard hai be _ saal bhar jis ke saath jindagaanii kaa sukh bhogaa usii ke saath itnii bevaphaa))ii _"

" to mujh se to us kaa ta;Ra;pnaa aur haath paa))o;N pa;Taknaa nahii;N dekhaa jaataa _"

chamaaro;N kaa kunbah thaa aur saare gaa))o;N me;N badnaam _ ghiisuu ik din kaam kartaa to tiin din aaraam _ maadhav itnaa kaam-chor thaa kih gha;N;Tah bhar kaam kartaa to gha;N;Te bhar *note1* chilam piitaa _ isli))e unhe;N ko))ii rakhtaa hii nah thaa _ ghar me;N mu;T;Thii bhar anaaj bhii maujuud ho to un ke liye kaam karne kii qasam thii _ jab do ek faaqe ho jaate to ghiisuu dara;xto;N par cha;Rh kar lak;Riyaa;N to;R laataa aur maadhav baazaar se bech laataa _ aur jab tak vuh paise rahte dono;N idhar udhar maare maare phirte _ *jab faaqe kii naubat aa jaatii to phir lak;Riyaa;N to;Rte , yaa ko))ii mazduurii talaash karte _* gaa))o;N me;N kaam kii kamii nah thii _ kaashtkaaro;N kaa gaa))o;N thaa _ ma;hnatii aadmii ke li))e paachaas kaam the _ magar un dono;N ko log usii vaqt bulaate jab do aadmiyo;N se ek kaa kaam paa kar bhii qanaa((at kar lene ke sivaa aur ko))ii chaarah nah hotaa _

kaash dono;N saadhuu hote to unhe;N qanaa((at aur tavakkul ke li))e .zab:t-e nafs kii mu:tlaq .zaruurat nah hotii _ yih un kii ;xalqii .sifat thii _ ((ajiib zindagii thii un kii _ ghar me;N mi;T;Tii ke do chaar bartano;N ke sivaa ko))ii a;saa;sah nahii;N _ pha;Te chiith;Ro;N se apnii ((uryaanii ;Dhaa;Nke *u989* hu))e , duniyaa kii fikro;N se aazaad _ qar.z se lade hu))e _ gaaliyaa;N bhii khaate , maar bhii khaate , magar ko))ii ;Gam nahii;N _ miskiin itne kih va.suulii kii mu:tlaq ummiid nah hone par log unhe;N kuchh nah kuchh qar.z de dete the _ ma;Tar yaa aaluu kii fa.sl me;N kheto;N se ma;Tar yaa aaluu ukhaa;R laate aur bhuun bhuun kar khaa lete _ yaa das paa;Nch uukh to;R laate aur raat ko chuuste _ ghiisuu ne isii zaahidaanah andaaz se saa;Th saal kii ((umr kaa;T dii _ aur maadhav bhii sa((aadatmand be;Te kii :tara;h baap ke naqsh-e qadam par chal rahaa thaa _ balkih us kaa naam aur bhii raushan kar rahaa thaa _

*to translation section (1a)* -- *on to text section (1b)*


*note1* -- The original Urdu text has phir , which I take as an error for bhar .

 

-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --